Saturday, 7 June 2014

Nazak Faisaley

15 Shaban ki raat kitni nazak hai, na jane qismat mein kia likh diya jaye.baz dafa insaan ghaflat mein para reh jata hai aur us k bare kuch ka kuch ho jata hai.
Ghunia-tul-Talibeen mein hai , k bohat se kafan dhul k teyyar rakhe hote hein.lekin kafan pehne wale bazaron mein ghoom rahe hote hein.Bohat se aise log hote hein k un ki qabrein khudi hui tayyar hoti hein,lekin un mein dafan hone wale khushiyo mein mast hote hein.bohat se log hans rahe hote hein , halaan k un ki halakat ka waqt qareeb aa aa chuka hota hai. bohat se makaanat ki taamir ka kaam mukamal hone wala hota haimagar malik makan ki mout ka waqt qareeb aa chuka hota hai

                           Aagha apni mout se koi bashar nahi
                  Samaan so bars ka hai pal ki khaber nahi



1 comment: